nasamajh - uday (ind) lyrics
[intro]
ye duniya toh ajeeb hi shuru se kaafio ko yahaan jeene ki na wajah di
soche bhi na zara bhi koi bhi kuchh karne se pehle bas soche doosre ki saza ki
mere paapon ke saath kala ka ghada bhi
jab chot padi kisiko toh shraap de vo doosre ko karma ki
magar iss hisaab se toh jise chot lagi asal mein kya bhaari uska karma nahi?
[pre*chorus]
kyun
yahaan bekhabar hi bekhabar ko jaane vo bhi darr se rehta
dur
main bhaaga apne ghar se mera ghar toh bann chuki thi bas ab
tu
bas dekhun chaaro taraf hi har jagah bas main bolun kya hi
khoob
kyun
[chorus]
kyunki duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
main koshishein bhi kari toh bhi koi yahaan pata mujhko na samajh
yahaan nasamajh bhi na samajh ke bole sabko nasamajh
main bhi aata duniya mein toh main bhi thehra nasamajh
[verse]
kya tum thodi duniya ko samajhte ho
thode bhatakte vahi thode se badalte log
kuchh vaade tode har kadam par ye kasam ke chor
aur kuchh bas thak g*ye aur so g*ye hai kab ke vo
uthte hi sunne mili das baatein
pehle jaisa lagta nahi tu mujhe lagi sach baat hai
dinno mein main rehta band tha pehle bhi bas ab saare
din mujhe dikhte hi nahi ye khaali bas raatein bas raatein
kuchh puchhe mujhe ki ab aaj kal aap kyun ni rote
jab peechhe dekhun saari wajahein bhi dur hi hogye
subah hone se pehle hi hoon main sojata
toh kaise ho savera kaise hone wala surya uday
ab khudse baitha juda main
sochun kya main sulake ab khud aake kar sakun khud se sulaah main
par kaise khud ki baatein bhulaake
main khuda se bhi puchhun kya tu khuda hai ya khuda ka bhi khuda ek
main ruka vahi aaye nahi tum
hum roshni ke aage magar saaye rahe ghum
jo diary main bharta tha vo diary bhi chup
vo shaayari hai khush kaise jab shaayar hi nahi khush
meri naarazgi jab tumse tabh tum khafa hoti
kya tum bhi nasamajh ya aakhir mujhe saza dogi?
phir sochun saza hogi sapne saare bikhrege
par sapne poore ho g*ye toh jeene ki kya wajah hogi?
chot puraani phirse aaj lagti nahi
jeet na miley par vo haar tak hi sahi
vo jisse karti pyaar vo usse karta nahi
aur vo kare jise vo usse pyaar karti nahi
zinda uthade jo vo neend nahi hoti
ghadi ki sui atki dhayi par vo teen nahi hoti
agar ganga mein jaate paapi paap dhone toh jo paap karte na unko kya ganga naseeb nahi hoti?
[pre*chorus]
kyun
yahaan bekhabar hi bekhabar ko jaane vo bhi darr se rehta
dur
main bhaaga apne ghar se mera ghar toh bann chuki thi bas ab
tu
bas dekhun chaaro taraf hi har jagah bas main bolun kya hi
khoob
kyun
[chorus]
kyunki duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
ye duniya saari nasamajh
main koshishein bhi kari toh bhi koi yahaan pata mujhko na samajh
yahaan nasamajh bhi na samajh ke bole sabko nasamajh
main bhi aata duniya mein toh main bhi thehra nasamajh
[outro]
ye duniya lakeer jo mitti chali jaati jitna tum usse kheenchtein
vo safar bhi kya safar jo aadha chhode na musafir beech mein
khair ye duniya toh nasamajh main safar ki shaanti ko poora sokh liya
khair tu hi toh duniya hai meri aur hum ek hi hai tabh hi nasamjhi mein safar adhoora chhod diya
Random Song Lyrics :
- barcelona - misstress barbara lyrics
- heartlines - embrz lyrics
- rimes et châtiments - ärsenik lyrics
- l'argent - skary lyrics
- gun control - glocca morra lyrics
- shadowside - single edit - a-ha lyrics
- singiel - kaen lyrics
- narayan - nirinjan kaur lyrics
- psychedelic ascension - mr traumatik lyrics
- diva - gigi lyrics