lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

hawwa ki beti - talha anjum lyrics

Loading...

[verse 1: talha anjum]
hawwa ki beti ka qissa mein batata hu
shaitan kya kuch karwa sakta hai mein dikhata hu
jo kahunga sau feesad sach hai, tum suntay jao
aur saath saath dimagh mein tasveer banao
lekin agar tum wo ho jo sach sunna nahi chahtay
tou jaakay koi sasta music channel lagao
is gaanay mein na maza na tafree na sur na taal
is gaanay mein samjhau ga tumhein mein surat*e*haal
aik larki jo badsurat tou nai par haan badnaseeb thi
ameer baap ke bigray bete ke uspe gandi niyat thi
us larki ke teri tarah kuch chotay motay khwaab the
padh*likh kar kuch ban jau par khuaab sirf khwaab the
paise jor jor ke daala usay aik baray school mein
jahan ameero ke bachay aya kartay fazool mein
us baa*parda larki ki aankhein jhukki rehti thi
aankhein kirdaar ke baaray mein sab kuch kehti thi
par uski izzat se tera aur mera kya lena dena?
jahan kuch galat ho tum foran ban jao nabeena
aam sa din, school chutta, wo nikli ghar ki taraf
ghar pe maa intizaar mein dekhe darwaazay ki taraf

[chorus: rap demon]
roti hawwa ki beti, adam ka beta hansta
iblees dimagh mеin nahi humaray dilo mein basta
dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt
khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud
roti hawwa ki bеti, adam ka beta hansta
iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta
dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt
khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud
[verse 2: talha anjum]
wo chaltay*chaltay soch rahi thi “ghar pohonch jau
maa thakki hogi jaake uske haath battau”
ekdum haath aya dupattay pe uskay aur wo dar gaui
larkay ne dupatta khencha tou wo bhaagi aur gir g*yi
zabardasti usay uthaya wo cheekhi*chillai
par afsos wahan logo ko koi awaaz na ayi
larkay chaar thay aur wo akeli jaan ab kya karti?
kaise apne sharam aur lihaaz ke liye ladhti?
band kardiya darwaazay aur tezi se gaari chala di
aur yahan se shuru hoti hai uski barbaadi
wo larkay nidar ho kar uski haalat pe hans rahay thay
aur wo bechari, jiske aansu nahi tham rahay thay
wo jaise hi boli ke “khuda ke liye aisa mat karna”
thappar maaray kapray phaaray karne lag*y zina
baari*baari chaaro ne zina ka gunnah kiya
haath mu pe rakha usay kuch na kehne diya
bohot azziyat mein thi bechaari kuch keh bhi nahi paa rahi
soch rahi hai ke usay maut kyun nai aa rahi
un mein se aik larka, jo tha hawas ke nashay mein andha
larki ka zor se haath mora, tor diya kandha
wo bhi kisi ki behen hai ye kisi ne na socha
aur phir usne hawwa ki beti ka galla dabocha
saans na mil sake tou wo haath pair maarne lagi
na zinda ghar jaanay ki phir uski umeed jaggi
dimagh uska band aur uska, aur wo sehem g*yi
aur larkay nashay mein dhutt, hosh nahi
“mar chuki hai saali” aik larka hans kar kehta
“waise maal virgin tha, warna itna khoon na behta”
[chorus: rap demon]
roti hawwa ki beti, adam ka beta hansta
iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta
dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt
khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud
roti hawwa ki beti, adam ka beta hansta
iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta
dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt
khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud

[verse 3: talha anjum]
bahar phenki laash aur guzaar di upar se gaari
haddiya tooti par awaaz na nikaal saki bechari
uske be*pardah j*sm se bohot khoon baha tha
par is waqeya ka na saboot na koi gawah tha
tum sochoge “talha ko ye sab kaise pata laga?”
aray un chaaro mein se aik larka talha anjum tha
sharaab ne mujhay lag*ya tha is wehshi kaam mein
wo rota chehra aaj bhi aati hai mere saamne
kehti hai mein zinda thi saansein bhi chal rahi thi
ab barhangi karke phenka tha mujhay medaan mein
wo beti hawwa ki aur mein adam ka beta
tou adam ka beta shaitaan ka saath kyun deta?
shaitaan hi tha jisne adam ko sajda nahi kiya
aur mere zariye usne phir hawwa se badla liya
jo baat saalo se dil mein thi wo aaj bol raha hu
aaj mein auro ke nahi apne pol khol raha hu
beshak dozakh ki aag tayar hai mere liye
farishto ne bhi kitaabo se haath utha liye
itna be hiss hu ke mujhse roya nahi jaata
apna khoon se bharra chehra bhi dhoya nahi jaata
[chorus: rap demon]
roti hawwa ki beti, adam ka beta hansta
iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta
dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt
khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud
roti hawwa ki beti, adam ka beta hansta
iblees dimagh mein nahi humaray dilo mein basta
dil pathar ke hain aur hum sab chaltay phirtay bu’tt
khuda se daray binna khuda bannay phirtay khud

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...