lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

jai bhim - scientist beta lyrics

Loading...

“jai bhim” — a powerful rap tribute by scientist beta ft. hitmic
hook (chorus)
justice, liberty, equality for all
a nation where no one’s small
fraternity, dignity, standing so tall
united we rise, our nation never fall

jai bhim jai bhim — bol saare yahan pe
jai bhim jai bhim — mere saathi saare
jai bhim jai bhim — hone chahiye kya?
jai bhim jai bhim — naare lagna chahiye
jai bhim jai bhim — desh bole saara
jai bhim jai bhim — mere saath bolo
jai bhim jai bhim — mere bhai*bandhu
jai bhim jai bhim — naara lagna chahiye
jai bhim, jai bhim

1891, jab hua tha janam
ek chhota sa tha ladka, jisne dekha na sharam
gyaan sarvashreshth, na jaati, na dharam
dimaag tha bada thanda, aur jigar mein the jakham

duniya ne na kabhi pichhde varg ko apnaaya
jo neeche tha hamesha, usko neeche hi dhansaya
jo kranti baba saheb ji ne desh mein laaya
aisa kuchh sau saalon mein koi na kar paaya

aurat ko jeene ka raasta dikhaya
majdooron ka haq ka paisa dilaya
desh ko todna aasan tha, lala
par bharat ko jod kar samvidhaan banaya

desh ke maseeha, in gareebon ki aawaaz wo
kabhi na bujh sake, aisi chingari aur aag wo
behta samandar, iss samajhdar ki sailani jo
bharat ka bhavishya, vartamaan aur itihaas wo

(chorus repeats)
(jai bhim chant echoing through hearts and lands…)

mp ka mhow gaon, 1891 saan tha
hosle the mann mein, dekhi maa ki mamta
haathon mein kalam, ladne ki thi shamta
aksar jaat*paat ki aag mein raha woh jalta

artist woh aisa, samvidhaan bana di art thi
haathon mein kalam thi, dil mein bhari angaar thi
ramji sakpal ji ki aulaade paanch thi
jinmein se ek bani misaal sansar ki

hindu banna sikha geeta se
muslim banna sikha quran se
bible se sikha isai banna
insaan banna sikha samvidhaan se

kuch karne ki agg jab sar chadh jaati hai
angaar se chingari ki talab badhti hai
jaise bharat ratna dr. bhim rao ji
jinhein padhne se roka gaya, unhein duniya padhti hai

bridge: truths that echo forever
pichhde warg ka sammaan — jai bhim, jai bhim
bachaya desh ka imaan — jai bhim, jai bhim
raja*rank ek samaan — jai bhim, jai bhim
uss bhagwaan ka hai naam — jai bhim, jai bhim

gareebon ki aawaaz — jai bhim, jai bhim
samvidhaan ke jo baap — jai bhim, jai bhim
jiski siyahi hai talvaar — jai bhim, jai bhim
krantikaariyon ki aag — jai bhim, jai bhim

final chorus: national awakening
jai bhim jai bhim — bol saare yahan pe
jai bhim jai bhim — mere saathi saare
jai bhim jai bhim — hone chahiye kya?
jai bhim jai bhim — naare lagna chahiye
jai bhim jai bhim — desh bole saara
jai bhim jai bhim — mere saath bolo
jai bhim jai bhim — mere bhai*bandhu
jai bhim jai bhim — naara lagna chahiye
jai bhim, jai bhim

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...