lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

hawas - sartaaj lyrics

Loading...

verse 1

jeete log aankhe band karke nark me
mu par hai jhooti h-ssi par aankhon me sirf dard hai
karz hai jinhone apni jaan lutayi desh par
badi badi baate karo bas tum tv pe dekh kar
sekh kar haath apne azadi ki lapto me
jonoon khatam hone lagta bade bade desh bhakto me
khafno me gade wo log aaj kuch naraaz hai
is desh ki kamaan dekho kin logo ke paas hai
har kisi ko desh ke bacho se hi to aas hai
par desh ke bache ke haatho me daaru ka gl-ss hai
aankhen laal, khade baal, sabki jeb me hai maal
kon bachaega desh ko bas yahi ek hai sawaal
kon kiska, kise, kyu, kisi ko naa samajh
sab bhool ke mere bas suno tum labz
desh ke liye kuch karne ki rakho hawas
maaro gadaaro ko, bina haatho me uthae shastrr
pado likho mehnat karne ki rakho hawas
anpad shareer pe tum odlo gyaan ke vastrr
sanskriti ko sambhaalne ki rakho hawas
bhoolo mat kon ho tum, aage le chalo varchasv
apne aap ko jaan ne ki rakho hawas
sabse upar hoga hindustaan khaalo desh ki kasam
rasam hai aaj kal galat raaste apna ne ki
tum karo ache kaam mat suno is zamaane ki
unke haath me bandook, hai baat nahi ghabraane ki
baat saari jaan apni is desh ke liye lutaane ki
ye desh hai tumhari maa, ye desh hi tumhara bacha hai
is desh ki pooja karo, ye desh sabse acha hai

hook

hawas, kuch kar jaane ki
hawas, lad mar jaane ki
hawas, kar ke dikhaane ki
hawas, insaaf dilaane ki”

verse 2

aaj kuch aesa sama chal raha desh me
desh drohi bedhe dekho netao ke bhes me
videsh me kaam badane apna jaate hai
desh ki khaake desh ka naam dubaate hai
haath milaate dushmano se paiso ke liye
goliya khaate hai senik tum jaiso ke liye
log aeso ke liye dil me nahi jagah hai
jagah kaise du jinke dil me daga hai
jaga hai in halaato ko dekh ke mujhme ek krantikari
soch apno ki sunke mar jaati kyu kranti saari
hathyaaro se to lad sakte hum
kaise lade soch se
raate kat jaati meri is baare me soch ke
khoj ke jawaab me, is bejaan jaahaan me
pareshan, lene bedh g-ya puraanic gyaan me
bhavnao me dube ye bhoolg-ye apne kon-kon paraaye the
bhagva rangdo pura par ye desh hindustan hai

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...