lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

adversity's aura - sameer asim lyrics

Loading...

[verse 1]
wo kaafir batayen mujhe mein jo qalam se saffoun pe ab bhi sadaqat likhoun
ye dunya hai saari ab dushman meri mein to kamzoriyan apni taaqat likhoun
wo aa jate qabron pe qarze bataane mein dunya ki kya hi saqafat likhoun?
ghulaabon ki kiun mein andhere mein betha akela nazakat likhoun?
mere baagh ke wo baaghbaan bane
saath chalen laakh lekin jaan baat maan
bade the azaab banne mujhpe wo yaadon ke ghar
maano sar ke bal mujhpe aasmaan ghirre
daastaan bhalle ab mein likhoun kese?
likhne bethoun to kaaghazoun ka taapmaan bharre
chor flow meri jaan ab wo shauq hi nai rahe
beat chala ke ab saaf baat karen
ab to aar paar kare
dil ko teer ki tarah mere alfaaz
ab to saal baad aaya houn mein hustle itne leke
ki tu saari zindagi bhi meri hustle nahin kar sakta surpass
ab to baar baar hota wohi tazkara
ab hazaar baar mil chuka ha dard barra
ab asaan nahin rahi zindagi meri jaan
zimeedaariyan uthaane ko nahin peeche koi fard kharra
tu to jaanta hi nahin tha usool meri jaan
tujhe karenge wo yaad tere marne ke baad
ye khayaal tera mehz tha ek bhool meri jaan
sharafat tujhe yahan jeene nahin degi
loog baghoun se torte hain phool meri jaan
wo darr ke ghar bethe hain zakhmon se
hum the ke maut bhi qubool meri jaan
hum bhi khaate thay thokren nadaan thay
rote thay raston pe rukte bhi thay
aadat si ho g*yi ha keelon pe chalne ki
shuru mein paoun to dukhte bhi the
ab to rooh ba rooh aa kharre taqdeeroun ke
ek waqt tha ke darte thay chupte bhi thay
mohtaaji mein kya hi anaa laate chote
ye majboriyon mein sar jhukte bhi the
apne bal pe ab kharre meri jaan
teri tarah hum bhi aadi saharoun ke thay
hum chaand the unke shehar mein nai nikle
jo qadardaan to sirf taaroun ke thay
ghareeb ko saza mili
naam jabke saazish mein shaamil to saaroun ke thay
hum laakhoun kama ke bhi khush na hoye
kisi ke to sapne hazaaroun ke thay
door se to safar ye asaan lagge
meri qala ke mein jaanta houn kya kya daam lagge
qala paane k liye thay kitne imtehaan lagge
kitne ilzaam mere sar meri jaan lagge
ab aam baat karoun to qalaam lagge
soch banni teer to ab qalam ye kamaan lagge
ab to zindagi mujhe jang ka maidaan lagge
ab to josh hi mera mujhe thakaan lagge
hum bhi aakhir kharaab huye thay
paani se jaani sharaab huye thay
maar diye g*ye meri aankhon ke saamne
qaid se azaad jo uqaab huye thay
waqt dekh bura sirf mera hua tha
magar behisaab chehre benaqaab huye thay
khane ke jaib mein paise nahin thay
us raat mere qatal kayii khwaab huye thay
“hum aapke thay saath khade” keh rahe sare
tab avaaz nahin sunte thay behre saare
jo marne hi aaya ho sahil pe usko
samandar darate nahin gehre pyaare
sone bhi jaane nahin dete ye jani
zimeedaariyon ke pehre saare
meri madad ko aaya nai koi magar
meri maut dekhne ke liye thehre saare
mujhe yaad hain wo jaan meri chehre saare
“kya yehi beta shoq hai ab aap ka?”
mere kaanon mein aavaaz gungti ha aaj tak
“nahin faida aisi koi namaaz ka”
par mein ba khuda bada hi sabir hua
karam ha khudaa ka is qabil hua
wo laakh gunah karke musalmaa’n they
magar maine gaane jo gaa diye kafir hua

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...