lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

class duster - rudraksh asv lyrics

Loading...

haan
haan
badhi thhi

badhi thi aashaiyen khoob(haan), jab bhi wo g*ya school(haan)
usse toh thi zaroorat, par sabhi kehte thhe fool (fool)
kisi ne samjh na usko, kisi ne bola na kuch (kuch)
haatho pe duster padte, aise hi jaata wo toot (toot)
pucha na koi galat kya, hua jo aisa hi ho raha (ho raha)
khwaab mein kaalepan thhe, jab bhi sisak ke so raha (so raha)
jo dard mil raha usko, na chah ke bhi wo dho raha (dho raha)
vo kehta na kisi se, par toota sa wo thoda (thoda)
sabhi hai kehte usse, banake rakh tu aura (aura)
jo pichhli seat pe tha, nahi tha chance hope ka (no)
bada hi easy hota, kehna kisi ko ghodha (haan)
daba ke log kehte, nahi tera kuch hoga (bilkul)
tabh bhi wo ladh raha, ab ho chuka wo theet hai
baatein lagti maamuli, jo padti jaise eent hai
mukar rahe hai log bhi, bas keh rahe ilzaam bhar
unme hai khud vishaad, jo todte wo haarkar (haan)
aajkal, zindgi mein uske hai khalal
aajkal, wo kosta hai aas pal
aajkal, wo toot ke bikhar chuka
jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal
aajkal (yeah), zindgi mein uske hai khalal
aajkal (yeah), wo kosta hai aas pal (haan)
aajkal, wo toot ke bikhar chuka
jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal
aajkal
(bikhar chuka)
(kosta bas kosta)
(haan)
jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai

usse naa koi bhi aas, aisa ki wo bol de
pucchta sawal toh, aukaat dete tol yeh
kabhi na kaha usse, ki tera bhi koi mol hai
yahan toh insaan wo, jo udd raha makhaul mein (makhaul mein)
khudi ko kosta, jab baithta padhai pe (haan)
saari jo bhavna thi, wo marz bin dawai ke
aisa hi karta na, wo kaamna tabhai ke
vo bhi toh jee sakta tha, bas hausla afzai se (par kyun)
kisi ne naa na bola, wo bhi toh dab ke reh g*ya (reh g*ya)
aasuo mein gumm hua, bhaavo mein wo beh g*ya (mujhe ladna hai)
pehle jeeta tha sapne, ab sapna wo toh deh g*ya
ab putla sa wo ho g*ya, alfaaz karta na bayaan (na, na)
kabhi na sochte hum, ki kya kaha tha aise hi samaj aise jo kahe, ussi ki karte peshki (yaa)
lekin nahi uthaya tha, raakh mein jo ab dabi (kyun)
makhaul ki zaroorato mein, aadmi ki zindagi, aajkal
haan
kosta bas kosta
(yeh zindgi hai zindagi)
jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal

aajkal, zindgi mein uske hai khalal
aajkal, wo kosta hai aas pal
aajkal, wo toot ke bikhar chuka
jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal
aajkal
(kyun)
(kyun)
(aakhir kyun)
bikhar chuka
jaa raha hai hausla, aur jaa raha hai uska bal

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...