lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

kaafiya - risshy lyrics

Loading...

kayi zindigi ke raaston main ,kayi gehre mod hote hai
gujarte hai kitne kadam ,kahi na phir daag milte hai
wo raaste na jaane kitne sawaal puchte hai
aur na jane ye raaste hame kaha le jate hai
hum toh guzarte hi rehte hai ek musafir ki tarah
per jo ghav lage rooh per wo kaha bharte hai
wo toh ghum hi hai jo zakhm ka haal puchta hai
warna marham bhi toh sukoon ki talash karta hai
bebas hoti hai baichainiyan zakhm ka dard puchti hai
aise hi raaston main musafir haste milte hai

kuch rishton main darar gehri hoti hai
tanhi ka bojh liye phir rishtey ko samte jati hai
ha kha jati hai umar ko akelepan ki zindigi
usme bhi logo ki hissedari maangi jati hai
kitni sari duniya hai kitne choti zindigi mili
darwaje ke iss paar ki zindigi darwaje ke uss paar ki zindigi

kuch rishte nibhane ki zindigi kuch khudko khone ki zindigi
kuch pane ki zindigi kuch nakayamabi ki zindigi
kuch kudh ko dikhane ki zindigi kuch logo ko dikhave ki zindigi
kuch banavti zindigi kuch behrupi ki zindigi
kuch bebas aur lachaar ki zindigi toh kuch haar ki zindigi
kuch sawalon ki zindigi toh kabhi khamoshi ki zindigi
kuch umid ki zindigi kuch dilase dene ki zindigi
aur kahi zindigi ke mod pe khade toh zindigi ki zindigi
kab tak kinare ki khoj main doobta rahu
kab tak iss samundar main tairta rahu
kab tak iss kalam se gunah likhta rahu
kab tak maut ke manzar se darta rahu
kab tak kisi ke khone ke dar se darta rahu
kab tak mehfilon main chup behta rahu
kab tak khaton pe dhul lagti rahe
aur kab tak usse padne se darta rahu
kab tak kalam siyahi bhar ke sochta rahu
aur kab tak zindigi se maut ka tamasha likhta rahu
aur kab tak zindigi se maut ka tamasha likhta rahu

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...