lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

afreen afreen - rahat fateh ali khan & momina mustehsan lyrics

Loading...

aisa dekha nahi khoobsurat koi,
j-sm jaise ajanta ki murat koi,
j-sm jaise nigahon pe jadoo koi,

j-sm nagma koi j-sm khushboo koi,

j-sm jaise mehakti hui chandni,
j-sm jaise machalti hui ragini
j-sm jaise ke khilta hua ik chaman
j-sm jaise ke suraj ki pehli kiran

j-sm tarsha hua dilkasho dilnashin
sandli sandli marmari marmari

usne jaana ki tareef mumkin nahi
usne jaana ki tareef mumkin nahi
afreen afreen afreen afreen
tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
afreen afreen afreen afreen

usne jaana ki tareef mumkin nahi
usne jaana ki tareef mumkin nahi

jane kaisi bandhi tune akhiyon ki dor
mann mera khicha chala aaya teri aor
mere chehre ki subah zulfon ki sham
mera sab kuch hai piya ab se tere naam

nazron ne teri chhua toh hai ye jadoo hua
hone lagi hoon main haseen

afreen afreen afreen
afreen afreen afreen

chehra ik phool ki tarah sharab hai
chehra uska hai ya koi mehtaab hai
chehra jaise ghazal chehra jaane ghazal
chehra jaise kalli chehra jaise kanwal

chehra jaise tasavur bhi tasveer bhi
chehra ik khaab bhi chehra tabeer bhi
chehra koi aliflailvi dastaan
chehra ik pal yakeen chehra ik pal gumah

chehra jaisa ke chehra kahin bhi nahi
mahrooh mahrooh mehjabin mehjabin

usne jaana ki tareef mumkin nahi
usne jaana ki tareef mumkin nahi
afreen afreen afreen afreen
tu bhi dekhe agar toh kahe humnashin
afreen afreen afreen afreen

usne jaana ki tareef mumkin nahi

afreen, afreen

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...