lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

dashavatar - narci lyrics

Loading...

ramakantaharam sruthivrathasaram
jalantharviharam dharabharaharam
chidanandaroopam manogya swaroopam
drithaneka roopam bajeham bajeham

jarajanma heenam parananda peenam
samadana leenam sadaivanaveenam
jagajjanma hethum suraneeka kethum
trilokaika sethum bajeham bajeham

रमाकण्ठहारं श्रुतिव्रातसारं
जलान्तर्विहारं धराभारहारं
चिदानन्दरूपं मनोज्ञस्वरूपं
ध्रुतानेकरूपं भजेऽहं भजेऽहं ||

जराजन्महीनं परानन्दपीनं
समाधानलीनं सदैवानवीनं
जगज्जन्महेतुं सुरानीककेतुं
त्रिलोकैकसेतुं भजेऽहं भजेऽहं ||

1. matsya avatar
brahma se chheen baitha vedon ko hyagriv
pair uske paapi nahi rahe they kahin bhi tik
prabhu ne avatar liya paapi ke vadh ko
matsya ke roop mein wo mile satyavrat ko
leela dekh hari ki hairaan they wo khoob
alaukik dikhaya tha hari ne apna roop
bole satyavrat ko parly hoga jal se
shuru naya yug hoga aane waale kal se
le ke aana saare saptrishi aur praaniyon ko
nauka mein meri thaamegi jo aandhiyon ko
hyagriv ki mrityu, vedon ka bachaav
matsya ka roop, khinchega naav
2. kurma avatar
paaya na sammaan rishi durvasha ne jab
kshaap unka jhela sabhi devo ne tha tab
haavi they asur, dev bal heen khade
aage shree hari ke they saare gamgeen khade
manthan hoga karna baat padi kaan mein
mandar pe vasuki sahi tarah baandh ke
tod tha ye shaap ka dikahya sabne dum
samundar manthan hua ksheer sagar mein aarmbh
mandar nahi sagar mein raha tha achal
tab kurm avatar leke bane dharatal
faila jab vish, lag rah tha ant
mahadev ne tha pee ke use kiya neela kanth
bhaage amrit paane peeche neech toot ke
hari ne bachaya use mohini ke roop mein

3. varaha avatar
sanakadi rishi chaar phaunche narayan ke dwar
roka dwaarpaalon ne tha chaaron ko bahar
poocha dwaarpaalon ne tha chaaron ko tum kaun ho?
bole hari bhakt hum, dwar ko tum khol do
baitkunth ke dwar nahi khole dwaarpaalon ne
krodith hoke shaap unhe de daala chaaron ne
janme dono bhulok anuroop kshaap
hiranyakashipu ek aur dusra hiranyaksha
dharti ko rasatal mein le g*ya hiranyaskha
varaha ka avatar hua karne uska naash
dharti ko bachaya fir yudh hua chand
hari ne anant use diya mrityu dand
4. narasimha avatar
tap kiya tha hiranyakashipu ne brahma ka
var maanga aisa sun hua tha achamba
maanga vardaan na main haar se darun
na din mein marun, na raat mein marun
na pashu mujhe maare, na marun kisi nar se
na marun aasmaan mein, aur na hi sthal pe
bheetar maarun na main marun bahar
na koi hathiyar le sake mere praan
bola prahlad ko hai kahan tera hari?
wo bola kan kan mein hai hari ki hi chavi
(yadi is kambe mein bhi tera bhagwan hai
to aaj na ye khamba rahega, na tera bhagwan)
hari khade aage, stamb saara dher tha
dhad unka nar aur sar unka sher ka
god pe leta bole shaap kar samaran
naakhoono se hari ke tha hua uska maran

5. vamana avatar
daity raaj bali ne jamaaye pair swarg mein
indra ko prajit kar raaj kiya garv se
aditi ne khinnta se poocha samadhaan
hari bole loonga janm apke hi garb se
vaman ki hi maya samadhaan lekar aayegi
bina yudh kiye raja bali ko harayegi
ashvamedha yagya ko tha raaja bhi taiyaar
hari phaunche liye vaman avtaar
parnaam kar bali bole jo bhi maangi doonga main
vaman bole teen pag bhoomi tumse loonga main
pehle pag mein bhoolok dusre ne naapa swarg
teesra main pair kahan rakhun raja bolo ab?
sar ko jhuka poora kiya tha sankalp
rakho pair sar pe ye hai teesra vikalp
ramakantaharam sruthivrathasaram
jalantharviharam dharabharaharam
chidanandaroopam manogya swaroopam
drithaneka roopam bajeham bajeham

jarajanma heenam parananda peenam
samadana leenam sadaivanaveenam
jagajjanma hethum suraneeka kethum
trilokaika sethum bajeham bajeham

रमाकण्ठहारं श्रुतिव्रातसारं
जलान्तर्विहारं धराभारहारं
चिदानन्दरूपं मनोज्ञस्वरूपं
ध्रुतानेकरूपं भजेऽहं भजेऽहं ||

जराजन्महीनं परानन्दपीनं
समाधानलीनं सदैवानवीनं
जगज्जन्महेतुं सुरानीककेतुं
त्रिलोकैकसेतुं भजेऽहं भजेऽहं ||

6. parashurama avatar
treta mein hari ne liya chattha avataar
jamadagni they pita aur renuka thi maa
sahastrabahu ne jab dekhi dhenu aashram mein
lobh uska badha uske parti har pal mein
ram ke abhav mein wo aasharm ghusa
chheen ke wo le g*ya tha kaamdhenu bal se
krodh ka tha dikha parshuram mein asar
liya partishodh, kaat ke tha sar
raja ke beton pe tha khoon bhi sawar
jamadagni ka vadh kar liya partikaar
parshu ko kop se kas baitha haath
uske beton ke lahu se kiya pita ka tha shraadh
kshatriyon ne dekha parshuram ka tha traas
21 baar kiya kshatriyon ka naash

7. rama avatar
nagri thi ayodhya ki na jahan jhootha kauf tha
dasrath ki is seema mein na saty pe bhi rok tha
asuron ke kaaran, kashton mein sab praani they
tadka ke vadh ne jag*ya naya josh tha
swamybar bhi jeeta, hua dukhon ka aagahz
mila banvaas nahi hisse mein tha taj
lobh ka na rakh swikaar kiya van
panchvati mein tha hua fir sita ka haran
sita ki khoj mein aatur they ram
aur khoj ke samay they mile unhe hanuman
sang vaanar sena kiya yudh bhi parchand
ravan mara toota uska ghamand

8. krishna avatar
hari bane devaki ki aatvhi santaan
leela unki jaanta hai saara hi jahan
devaki thi maa aur pita vashudev
par nand aur yashodha ne tha paale dwarkesh
murli ki dhun ne mein tha gokul sama liya
pootna ka vadh kiya, naache chadh kaaliya
gopiyon se ghire par radha ke shyam they
meera anuraagi bani shayam ke hi naam se
ant adharm ka unhone har kshan kiya
kans ka vadh kar mathura ko dhany kiya
saarthi bane, raah bhi dikhaya
mahabharata mein aham kirdaar tha nibhaya

9. buddha avatar
vistaar hone laga jab daityon ka zor
devon mein tha macha pareshaani ka shor
bole sabhi dev kuch dedo samadhaan
dharti pe laaye hari shanti ka gyaan
unke tanav ko tha hari ne bhi door kiya
buddh ka tha roop liya, krodh bhi choor kiya
daityon ki yagy se doori bana daali
maanavon ki jaati bhi poori bacha daali
gyaan ko failaya tha hari ne us kaal mein
shanti failaiyi thi buddh avatar mein

10. kalki avatar
garb se sumati ke aayenge wo sahasi
antim avatar abhi hari ka hai baaki
hath talwar thaame, baithe devdutt pe
naam hoga kalki, karak honge vadh ke
jhooth pe lagegi fir saty ki aag
kaal ye kali ka wo karenge samapt
kali ki lagi aag hogi jab
charam pe khada adharm hoga jab
antim avatar hoga tab shree hari ka
saty ka yug wo akrenge aarmbh

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...