lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

dabdaba - maddoxhiphop lyrics

Loading...

(hook)

dabdaba ye kadam jaha pade maut har jagah
mar chuka jo janam se andar khuaf chal hata
martaba in labon pe mere bol falsafa
barbarta iss jahan me jaali loabh badh chuka (2x)

(verse 1)

mansoobe mere jaane ye itne bhi shaatir nahi
kar sake jo rawat thaane ye baatein kitabi nahi
har taraf se aata kaal jab akaal ka samay ho
bach sake wo saare chahate ye aankhe milate nahi

sarzameen pe khudko paate to khanjar chubhate kai
bandagi se jisko chahte wo rishtey nibhate nahi
jo na saath de sake mai unko saath hi na rakhu
zindagi me jo bhi aate wo kyu bhool paate nahi

mansha kya meri? kabhi mai khud bhi na jaanu
samjhata kabhi khud ko mai shaanti sikhadu
jo mai krodh mai to fir kisi cheez me der ni
baat aaye mere apno pe to saans hi mitadu

aankh jo milau to ye khauf khaate pyaar bhi
bacha saku mai agar to fir le saku mai jaan bhi
jab haara 100 dafa to meri jeet bhi thi laazmi
na surkhiyo ko jeewan zyada pasand mujhe saadgi
sun, baat ko dhyaan se, kaan laga ke
kabhi sochu kya mukaam hai? kya inaam hai?
sunne wale dil ke paas me, dil se saath me
bhaga zyada iss wajah se, ek disha me

pair rakhu jis jagah pe, scene samapt hai
kalakaari dil se gaate, dil ki baatein
likhu bhar du kitaabein, geet hazaar hai
likhne ko din bitade, neend haraam hai

(hook)

dabdaba ye kadam jaha pade maut har jagah
mar chuka jo janam se andar khuaf chal hata
martaba in labon pe mere bol falsafa
barbarta iss jahan me jaali loabh badh chuka (2x)

(verse 2)

dikhe khauf in aankhon me mera dhang hi ni aisa
bikey bol in baaton se mera tark hi kuch aisa
wo bhi jaane ke mai banunga sitara nahi chaand
likhe dosh in raaton me mera takht hi kuch aisa

seekhe jo hai kaaton se mila dard hi kuch aisa
jeete log hai gaano se likha shabd hi kuch aisa
tabhi khud hi se mutassir aur ye hona bhi munasib
kitne roz hum saalon se kare jashan hi kuch aisa
aur ye chaal chalan tezz, galat taur tarike bhi
jo baat samajh g*ye farak un sabhi me bhi
ki kon kitni samjhe kala ki kalakaari ko
par duniya anjaan mai alag un sabhi se hi

tabhi se hi mai socha milunga na iss duniya se
aatma vishwaas, mazboot meri buniyadein
wo khooni laashein dikhi jo mere sapne me
rahu aacha insaan ya banu fir kukhyaat mai

naam ni lete, pata ye baatcheet
gehraiyan meri baat ki, gazal ho ya fir shayri
bole mujhe wo naamcheen, izzat jo iss naam ki
kari jo maine raat din mashoori hona laazmi

nasal pehchaanu aaj bhi, nazar jo meri baaj ki
bolta jo bebaak hi, lage na koi lagaam bhi
kaat khaaun zabaan bhi, kare na jo lihaaz bhi
khauf na mujhe aaj bhi leli jo maine jaan bhi

(hook)

dabdaba ye kadam jaha pade maut har jagah
mar chuka jo janam se andar khuaf chal hata
martaba in labon pe mere bol falsafa
barbarta iss jahan me jaali loabh badh chuka (2x)

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...