born for this - maddoxhiphop lyrics
(intro)
this is not a song i’m dropping the apocalypse
survival of the fittest, i’m feelin’ like prodigy
ye wave kare suffer meri jaise saare portugues
i am not born with this but i surely born for this
(verse 1)
janam hi se tha karam ye likhe jo panne bharke
kalam hi se tha dharam ye laga ke rakhu sar se
bana ke rakhe hum se wo jaane meri bhasade
jo tha ni mere bas me wo bhi dikhaya kar ke
badhte dekhe sapne karu ab inhe sach mai
verse hai mеre nagme likhe jo pannе jalte
chalte mere nakshe kadam pe saare ladke
mukarte nahi sach se sitaare ye ubharte
wo hum se ulajhte jo ladke the kal ke
ab sach me mai deta inhe sar pe hi sadme
samjhe mere dhang ye asaani se na bakshein
jhagadte hum kam the par jamte ni nakhre
khuda ki rehmat b*rs* likhu mai sabse hat ke
nazme sher’o shayri likhi jo maine gazalein
charche apne tabse jabse hum the janme
dar pe mere ab ye par deta nahi f*ck mai
kaise na karu khud pe bharosa mera us pe
jaise mai ladu khud se fasa tha kaafi khud me
laga tha jo mai rukne suna rha mai dukhde
shulje mere sapne uljhe jo the bunte
dhun se hi fitoor hai sunte geet shuru se
muntazir urooj ke khud me gum hu mai
chalte befizool jo unse koson dur mai
khulke jeete roz hai, khushnaseeb hu mai
kehte the mujh ko kya hoga tera
par jaane wo ab mai mamuli na
kara jinhone tha naam ka samman ni
abb bole adab se rawat ji han
music hai pehla aur baad me sab
par baat ko meri wo samjhe na
karta mai izzat jo bhi hai bade
par kisi se yaha mai kam bhi naa
to leke jo chala mai kalam aur kagaz
abb bhardu kitabein me saari fatafat
nazakat samah jaise baraste baadal
iss kala ke andar na meri zamanat
wo daman ko chhode na jaane wo naam ab
jo dete ni f*ck the bana ab aafat
mai unke liye par na rakha badapann
jahan par bhi jau dabdaba wahan par
(bridge)
ahed of this time tum samjhoge ye sab baad me
sangeet samrat, hip hop ka mai tansen
mar jaate kalakaar, kala hojati amar
uski kya hi loge jaan jo khelta khudki jaan se
(verse 2)
halka haath likhayi pe fir bhi de dikhayi ye
kitni hai tabhai ye kari jo han chadhayi ye
kitno ko sikhaye ye kala na ki numaishein
banayi jo pehchan se badhai jo kamayi hai
mic pe thoda psych mai hua na kabhi sign mai
zindagi banayi hai karte rehta grind mai
jitna tha bhala hi mai utna hi qasai mai
imtihaan kala hi ke likhe jo maine qaide
line me kabhi aaye na dekhe wo kabhi aaina
mic pe jo bhi g*ye ha dekhe na kabhi fayda
samjha unse jaaye na jaise mai samay raina
kabza poore scene pe kehte wo al*qaeda
jayga milli gaana jaagaega tera mayka
bhaisaab wo bole jab sunte verse bhai ka
shayara mere saath wo farmati jo mulaiza
jayza leta game ka bana fira mai g*yak ha
baari ab meri aani hai, kaari jo meri gari hai
thaami jo kalakaari hai, trasadi maine laani hai
tha ni jo khana thali me baitha na kabhi khali mai
baaki to mera naam hi hai jaante jaise kanye
likhi jo ye kahani hai gaano ka tabhi aadi mai
baat ko meri maniye kehte wo mujhe manniye
baaghi to mera sthan hi hai ladka jo pahadi hai
shanti chahte sthaniye khoon jo krantikaari hai
duniya jaane jo likhe afsanay hai
khooni ye raatein aur khooni khayal hai
kardu na mai bhi fir jaane anjaane me
galti na hogi wo saare hi jaante
waade jo kare wo saare nibhaane hai
raaton ko jaage savera banane me
aansu jo aate banjate tarane hai
naa mai galat na ye galat iraade hai
naata bas ussi se jaana bas ussi pe
baant aaya khushi mai, barabar jo bhi the
kamaya jo bhi hai, kaam aaya wo hi hai
karamat jo bhi the, bana aghori mai
banawato ki mai, bala se doori mai
salami du ki jo mere se khoob hi hai
banata kyu ni mai rishtey jo khoon ke
batana chahata farebi wo jhoote the
(bridge)
mujhe apne aap pe aur mujhe apni art pe
bharosa itna jitna duniya rakhti bhagwan pe
jo gira agar mai kabhi to uthunga zaroor
aur jo utha ek baari to mai udunga zaroor
(verse 3)
poora scene khau aaj aur scene karu samapt
bina liye poori saans khoye hosh*o*hawash
jo na jaane mera naam mai unhe dilau yaad
hai kya paise ki aukaat jyada izzat meri aaj
jaise mai udu baaj ab aankhon leke khwaab hai
rehte ni mujhe yaad hai gaano ke mere naad hai
likha jo itihaas hai gaana ye sadabahaar hai
mila jo sammman hai gaano ka parinam hai
chala na mai iski chaal mai uski chaal mai
chalta bas khudki raah me khud bana ke
kare launde istaqbal hai escobar mai
kayi dekhi khudki haarein, khudse haare
khauf mera har sabha me, dabdaba ye
naam mera har zabaan pe, martaba ye
thoda sa manchala mai, banchuka mai
tezz bachpan se tha mai, sab ye jaane
Random Song Lyrics :
- amigos pela fé / mais que amigos - live - anjos de resgate lyrics
- son 2 yıl - jagged lyrics
- content - scepaz lyrics
- detox - punchnello lyrics
- a million keys - tiron & ayomari lyrics
- kurz vor 24 - kianush lyrics
- hot head (freestyle) - ronnie bg lyrics
- bangin' - anf naylor lyrics
- mrs. - ecey rocky lyrics
- воу (wow) - lildrughill lyrics