lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

dhiktana dhiktana - mad trip lyrics

Loading...

[intro]
l*l*l*la, l*l*l*la, l*l*l*la, l*l*l*la
dhiktana, dhiktana, dhiktana
dhik*dhiktana, dhiktana, dhiktana
dhiktana, dhiktana, dhiktana
dhik*dhiktana, dhiktana, dhiktana

[verse 1]
kaisa hai tu, kaise hain sab
poochhe khairiyat par dekhe haisiyat sab
pata chala sirf paison se rishte hain
toh ab mere sirf paison se rishte hain
haan maine jeet dekhi, haan maine haar dekhi
tedha bann ke chalna padta, warna neki maar degi
sadkon pe maar dekhi, apno mein khaar dekhi
qatl*e*aam ki khabrein, aksar qabrein toh aam dekhi
dekhi saanp*seedhi, baatein likhun saaf*seedhi
kisi ko bhi sunn*ni nahi hai, yahan pe meri aapbeeti
rishton mein rajneeti
kisse bas jaydaad ke hisse na khaak mili
kishton mein haar mili
dekhi kitni shakal g*yi pal mein badal
mere seene mein kyun hoti har pal hulchul
har pal chanchal mann karey bhagdadd
ab dil mera khaali, ghar lage khandar
ghooma nahi main duniya*jahaanon mein kabhi
kyun ki pehle se hi maine dekh liya sab, shayad
bura waqt bhi dikha ke jaayega ek jaadu
tu khaali dus*tak ginn ho jayenge sab g*yab
[pre*chorus]
ae khuda mujhe kya hua
kyun lagta yeh begaana
tu bataa main hoon kahan
manzil ki raah dikhlana

[chorus]
dhiktana, dhiktana, dhiktana
yahan apno mein apna koi dikhta na
dhiktana dhiktana dhiktana
saala sacchi mein saccha koi rishta na
dhiktana, dhiktana, dhiktana
yahan apno mein apna koi dikhta na
dhiktana, dhiktana, dhiktana
saala sacchi mein saccha koi rishta na

[post*chorus]
dhiktana, dhiktana, dhiktana
dhik*dhiktana, dhiktana, dhiktana
dhiktana, dhiktana, dhiktana
dhik*dhiktana, dhiktana, dhiktana

[verse 2]
aansu toh roz aaye par koi na ponchh paaye
bolun dil ki baatein par dil tak nahi yeh pahunch paaye
dhokhe toh bahut khaaye woh toh roz ka hai
saare apna soche tu apno ka sochta hai
kyu, du main ghar walon ko dosh jo sochte mera roz
afsos main unpe bojh main kosta khud ko bahut
jailon se bhi zyaada logon ke mann mein hai chor
woh dekhe kab dheela ho naada, kab kheenche langot
jaana kahan soojhta bhi nahi
ho bhookhe*paet, nange*paanv toh koi thookta bhi nahi
sawaal ka jawaab dene se baney crorepati
lekin hum jaison ko yahan koi poochhta hi nahi
bina taane khaaye milti hain taaliyaan bhi na
milti kaamyabi toh yeh dekhe khaamiyan bhi na
kaafi galtiyan bhi kari galti se seekha bhi main
yeh duniya ek kitaab toh baatein kitaabi yeh
chunautiyaan hain log hai kya ismein koi shaq
roz bolun bhagwan se, enough is enough
kaash miley hote gham kam re
humein bhi koi miley hote humdum re
ghutt*te hain andar hi andar se
ab chubhte hain mujh ko yeh bandh kamre
[pre*chorus]
main soh paaun kabhi chain se
aise bhi din dikhlana
kho jaaunga bheed mein
tu haath thaam lega*na

[chorus]
dhiktana, dhiktana, dhiktana
yahan apno mein apna koi dikhta na
dhiktana dhiktana dhiktana
saala sacchi mein saccha koi rishta na
dhiktana, dhiktana, dhiktana
yahan apno mein apna koi dikhta na
dhiktana, dhiktana, dhiktana
saala sacchi mein saccha koi rishta na

[outro]
apno ko dekha apno se ladte toh
apna hai kaun aaya ek sawaal
gairon ko dekha maine zakhmon ko bharte toh
apna hai kaun phir aaya ek sawaal

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...