arthur road - loka lyrics
[chorus : loka]
mera kasoor nahi
gunah ko karra kabool nahi
voh chahte mai dafan hojau par
bhole hai saath mere bhul nahi
snitch karna logon pe mera wo rule nahi
maar khake bolu me mera usul nahi
hathkadi picture me lagti toh mast hai
hathkadi hathon me lagta phir cool nahi
[verse 1 : loka]
aankhon se aankhe nahi milti hai mulaqaat me
jab maa meri rooti hai har ek baat pe
phone pe khali sunai de rahi unki saanse
maa chain se tu sohi nahi kitne raat se
maa mujhe malum yeah waqt thoda bura
par bure ke bina toh insan adhura
joo soya hai farsh pe assman wo chura
jo bhaga hai lambe tak wahi toh dur aaya
abhi tu rona nahi
batein hai baki par phone yaha pe katega maa
maa tu aab darna nahi jo hona ho g*ya beta abb ladega
sone ko jagah nahi milti yaha karvat hai
aaj hua jama loka kal tha parvat me
upar se niche tak zindagi harkat hai
paap mere dhul g*ye aane wali barkat hai
chalta yaha note hai kisiki arzi nahi
bidi ko pee pee ke samay guzarti gai
khote ke pateli yahpe chalti nahi g*ya me andhar tha meri koi galti nahi
meri thi marzi nahi jine zaruri tha kismet bhi kya karta wo bhi majboor he tha
waqt mera bura tha khuda naraz tha phir bhi wo g*ya nahi mera pass tha
jo mere pass hai wohi toh khass hai jo mere pass nahi unse naraz nahi
unse me khush hu kyuki wo real hai khuda jab saath tere kis cheez ka fear hai
[bridge : loka]
soone ko jagah nahi milti yaha karvat hai aaj hua jama loka kal tha jo parvat me
upar se niche tak zindagi harkat hai paap mere dhool g*ye aane wali barkat hai
[chorus : loka]
mera kasoor nahin gunah ko kar raha kabool nahin
woh chahte main dafan jau par bhole hai sath mere bhul nahin
snitch karna logo pe mera wo rule nahi
maar kha ke bolu mai mera usul nahi
hathkadi picture me lagti toh mast hai hathkadi hathon me lagta phir
[verse 2 : loka]
khane me swaad nahi pani me zeher hai harcheez ki kimat hai insaaf ke sheher me
dard ko dawa nahi sone ko jagah nahi phir kaise system yeah sabke liye fair hai
tarik pe tarik hai yaha sunne ko hai nahi koi sabko yeah malum hai andha yeah kanoon hai
aawaz uthane per dabata, lada jo news pe case nakli lagate
kathin tha kafi jo samay ko kata me mushkil me koi bhi nahi aata hai
nafrat me pyaar hi baata mai kon mujhse real hai sab samaj aata hai
piya me gum ko ghotke, shoutout hai bhailog ko aaye jo court pe
free loka banners ko dekha me road pe nok pe khada me chaku ke
aankhon me aausu aur dil bhara chot se notes se chalta yeh kanoon hai
samay pe kuch bhi nahi hota yeah sabko he maloom hai
andha yeah kanoon hai
zindagi pass ya zindagi fail hai kisiko ko saza ya kisiko ko bail hai
harna nahi kaise bhi musibat jhel le
maut ka khail yeh arthur ka jail hai
[bridge : loka]
soone ko jagah nahi milti yaha karvat hai aaj hua jama loka kal tha parvat me
upar se niche tak zindagi harkat hai paap mere dhul g*ye aane wali barkat hai
[chorus : loka]
mera kasoor nahi gunah ko kar raha kabool nahi
woh chahte main dafan jau par bhole hai sath mere bhul nahi
snitch karna logon pe mera wo rule nahi
maar kha ke bolu mai mera usool nahi
hathkadi picture me lagti toh mast hai
hathkadi hathon me lagta phir cool nahi
Random Song Lyrics :
- bomb shelter blues flow - baby bonnie lyrics
- saturday night high - tsunamiz lyrics
- mutual interest - the weekend classic lyrics
- fit - tsunamiz lyrics
- w.o.l.f - lil emito lyrics
- wolves - nations afire lyrics
- lone rider - dylan leblanc lyrics
- batuka - madonna lyrics
- larry the lobster - drew famous lyrics
- passarinho - edu porto lyrics