taras - blobhit lyrics
saare zamaane se wafa kar aaya
aakhir me akele baithne
kisi sun saan jagah jaakar
jahan yaad kar sakun ki…
kis cheez ka gham hai
kis cheez ki khushi
kis baat ka naaz
kis cheez ka guroor?
kis cheez ki badaulat
main hoon aaj, jo hoon
ye shaamein yun hi beet jaati hain
ye hawa yun hi chuu jaati hai
ye khayal yun hi chale aate hain
chale jaate hain
yun hi main inn khayaalo’n ke
thode aur kareeb chale aata hun
mujhe inn se door rakhne
le jaane ko bhi to hai nahin koi
maine kaha usey
har wakht meri udaasi ki koi
wajah nahi hoti
ye mera guroor hai
ki wafa toh maine
najaane kitno’n se kari
par ek ye tanhai hi hai
jo kambakht kabhi juda nahi hoti
mere aansu itne garam
mera badan jaaye jal
uss aasman pe lakeer kheechun
khatam ek pal me
wo dil mera tod jaatе
jantey ni sitaara main
khair, chod
jaa le teri khwahish puri
ab mat aazmana rе..
wo aaya karte, karne ginti hai ehsaano’n ki
unpe hamare karz hai jo na ho sakenge ada
taras, jaise kabhi ham t*rs*
bhatak, jaise kabhi ham bhatke
doob, dil ke samandar me
tadap, fir bata
Random Song Lyrics :