lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

saaya hi toh hai - albaari lyrics

Loading...

(intro)

saaya hi toh hai…
rehne do isey…
aagosh mein j*smon… ke

(verse)

syah rang ke deewaane woh
kabhi apni parchai ko bhi
seene se laga ke jaane woh
kaayal hain j*smon ke noor ke
zaara aankh daal ke dekhein kabhi
qadmon ke neeche daba saaya majboor yeh
nagawaar kahoon unhein
ya kahoon be*murawwat
na kari jin logon ne apne aks se hi mohabbat
kaatey ghadi ke chaltey rahe
shakhs zindagi mein waqt ki manind badaltey rahe
bana ke doori logon se hum apne saaye ko hi humsafar apna maan ke safar*e*zindagi mein aagey badhtey rahe
mashgool ho g*ye raah*e*zindagi mein aise
hum hisaab qadmon ka rakhnte kaise
ek saathi bhi chal raha qadam se qadam milake
uska haal parakhtey kaise
hashr inn sab gaflaton ka hua theek waise
aftaab hotey hi la*mehdood andherey mein mehtaab phisalta ho jaise

(chorus)

chaltey chaltey main aise andheron mein phisal g*ya
jahaan mera saaya bhi mere aagosh se nikal g*ya

(verse)

karli tareef bateri
kuch ahem khaamiyan bhi yeh saaya mera batorey baitha
aam insaano ki tarah
yeh bhi chhod g*ya saath ghamzada andheron mein mera
aur padtey hi roshni khushaal
yeh sabse pehle mere qadmon mein aake leta
jab itna noor samaaya hai iss duniya mein
phir yeh bewaqoof kaalikh do jahaan ki kyun samete baitha
kyun pada rehta hai gairon ki tarah mere pairon mein
kyun yeh apna samajh ke mujhe apne aagosh mein le nahi leta
mann karey ke bhaag jaaoon door iss se kaheen
phir sochoon ke kya hi muh pheroon isse
aks hi toh hai yeh mera
aadatein shaayad meri hi yeh le ke baitha

(outro)
saaya hi toh hai…
rehne do isey…
aagosh mein j*smon… ke

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...