lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

nazara - ahmer lyrics

Loading...

lion of the desert – omar mukhtar dialogue:

“agar aapne samjota nahi kiya toh hum khoufnaak jung shuru kareghe!
ooh, jaanta hun tumari sarkaar ki taakat
jis taakat se hume gumkaate rahe
hum bhees saal se tumare khilaaf hai
aur inshallah! tumari akhri dum tak ladte raheghe!”

verse:

zaalim ki ziadti
lagad baghe ki chaal
joh chale ye saare aaj
bas gharo mein baithe shaant ye
marte hai din mein paanch, saath, aath, unginat
telephones bhi karke bandh
apna batata ke hum se jung?
kyu ki
inki nazro mein saare aatankwadi
inki barbaadi se gharo se kitni laashe jaati
masjido ke bahar bhi army, kya kare namazi?
ye chahte kare gulammi hum, hum thehre pahadi!
n-z- soch inki, kamro mein saare bandh
pepper gas hawah mein, bacho ka gutta dum
janat nahi hai ye hai jahum , hai jalte hum
khoon kharabi ka, aur beimaani ka hai jashan
kyu na dikhte na tume zakhm joh kabbi bare nahi?
kyu na nikle hum jalso mein, dekho hum mare nahi?
bandook ki nok har sar pe, hum dare nahi
maut hui kashmiriyat ki, kya hum lade nahi?
halat sudareghe ye sab ke sab maahir
jhoote dikhawe hai ye sab ke sab mahir
hoga hisaab toh kaise bachegha kafir
khuda humare saath, kitaab hui thi naazil

breakdown:

ye hai haq ki ladai, imaan inki tabahi
rukheghi na ye likhai, miteghi na ye siyaahi
gawayi ye uss maasoom ke khoon ki, safai tere jhoote qanoon ki!

verse 2:

agar sab theek hai toh humko karte tum khamosh kyun?
bandhi banake tum hum pe lagate dosh kyun?
humare ghar mein ghuske karte tod fod kyun?
aisa roz roz kyun asliyat ko khoj
main hun maut ka muh
musa ki bahaduri!
dubhoghe tum sabhi, pheron, neel nadi
sifak, veer qavi
bebak, gulam nahi!
kuch bhi karo tum hum raheghe shaant nahi
nafrat ke khilaaf
makaari ke khilaaf
dehshat ke khilaaf
makaari ke khilaaf
tumne hi toh hume in sadako pe nikala hai
maar daadh se tumne aman ko ujada hai
nainsaafi mein ab bhi jeeta har bechara hai
kashmir humara hai? ye toh bas chalava hai

hook:

zinda laashon ka nazara hai
marchuka sahara hai
koi na kinara hai
kashmir humara hai, ye toh bas dikawa hai!

zinda laashon ka nazara hai
marchuka sahara hai
koi na kinara hai
kashmir humara hai, ye toh bas chalawa hai!

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...