lirikcinta.com
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

epiphany - 2facebleed & mark bhatia lyrics

Loading...

[verse 1: 2facebleed]
han, mein ne baatein kaafi ki tere khilaaf hain
dhool chehre par thi, kiya aaina saaf hai
raaton se saweray tak jou pal beete kharab hain
kaise mein milaun aankhein, chehre pe naqaab hai
ab likhdun panno’n pe jitna dard bhi mein ne jhela tha
teri maujudgi may mein haara aur akela tha
har taraf ujaala, janay phir bhi kyun andhera tha
zakhmon ki yeh dastaan
pal*pal mein tujhme behra tha
lag*y naqaab the
dekhe the dou chehre tere
kya asli, kya nakli, kon nasli?
mein tasli may jalti hui lakdi
jou takleef naa kisko bhanak thi?
par ander panapti adab si woh basti
jou basne se pehle he dhuast thi
ab drishti may dust thi
mein dusti he pehli he bus may
tere he sheher badhun [?]

[chorus 1: 2facebleed]
mein naa samjha tujhe
dusro’n may dhoondun jou bhi tujhme naa milay
han, sehlenge jitni doori ab aage yeh banay
phir bhi har raah naajanay tujh tak he kyun chalay?
(kyun yeh chalay? yeah)
[verse 2: mark bhatia]
tere aur mere may itni he doori ke jitni aasman*zameen may
mujhe aazma sahi se
saara nichodle mera woh rus, aur meri tu aantde kheench le
aur fir bhi naa chain, tou kaat ke faikde neel may
sochiyo neend may mark ke mun se bus nikle ameen hai
tere mun se mein ne suni tauheen hai mere liye
li aisi hai firki ke hone lag*y abhi hum sar*firay
tu kehti tu roti
yahan ashq*e*samandar or tere tou bus null khulay
ab pade naa kaano’n may kuch
hain bus nashe may bajne lag*y yahan tuntune
bus tuntune, yeah

[verse 3: 2facebleed]
tu marzi ki malik, mein betha muntazir
khushnuma chehra par phir bhi tu amil
dil ke darwazon par hum thehre kafir
naa darr, na thikaana, hum bhatke musafir
dukh*dard sub baantein, tu hai naa yahan pe
palko’n may rakh dun mein tujhko chhupa ke
bikhre inn ashkon ko apna bana lein
saansein bus chalti hain tere sahare

[chorus 2: 2facebleed]
tu ne naa samjha mujhe
dusro’n may dhoonde jou bhi mujhme naa milay
han, sehlenge inn zakhmon ko jou tu ne hain diye
phir bhi har raah naajanay tujh tak he kyun chalay?
(kyun yeh chalay?)

Random Song Lyrics :

Popular

Loading...